اردو हिंदी
KHak-e-aghyar se yarab mujhe paiwand na kar | Shaahi Shayari
KHak-e-aghyar se yarab mujhe paiwand na kar

Ghazal

KHak-e-aghyar se yarab mujhe paiwand na kar

Nami Ansari

;

KHak-e-aghyar se yarab mujhe paiwand na kar
mujh ko in chand sitaron mein nazar-band na kar

ek hi bar chhalak jaane de paimana mera
lamha lamha mujhe aazurda-o-KHursand na kar

tujh ko pahchan len ya tujh ko KHuda kah baiThen
apne diwanon ko itna bhi KHirad-mand na kar

shahr-e-dilli to amanat hai mere purkhon ki
is ko be-rang-o-sada misl-e-samarqand na kar

wahima ho to kabhi harf-e-yaqin tak pahunche
kuchh na ho jab to hikayat qalam-band na kar

ishq aasan hai magar rog hai diwanon ka
bar-e-gham yunhi bahut hai use do-chand na kar

kya KHabar kab ye utar jae ragon mein 'nami'
zahr ko zahr hi rahne de ise qand na kar