KHak-e-ashiq hai jo howe hai nisar-e-daman
ai meri jaan tu mat jhaD ghubar-e-daman
dosto mujh ko na do sair-e-chaman ki taklif
ashk hi bas hai mera bagh-o-bahaar-e-daman
surKH jama pe nahin tere kanari ki chamak
barq is abr mein hoti hai nisar-e-daman
dekhta kya hai gareban ki junun se naseh
yan to sabit na raha ek bhi tar-e-daman
aastin tak to kahan us ke rasai 'bedar'
dastaras mujh ko nahin ta-ba-kanar-e-daman
Ghazal
KHak-e-ashiq hai jo howe hai nisar-e-daman
Meer Mohammadi Bedar