KHak-dan ko hasil-e-zauq-e-nazar samjha tha main
KHwab ke aalam ko kitna mo'atabar samjha tha main
kya KHabar thi mil ke tu mujh se juda ho jaega
is dhundalke ko na jaane kyun sahar samjha tha main
aaj phirti hai nazar har rah mein bhaTki hui
kyun ghubar-e-karwan ko rahbar samjha tha main
apne andar dekhta tha jalwa-ha-e-rang-rang
jism-e-KHaki ko bhi ek shishe ka ghar samjha tha main
aa gaya manzil pe har patthar ko Thukraata hua
aap ke gham ko har ek gham ki sipar samjha tha main
munkashif mujh par hua 'jami' wo rahbar tha mera
jis haqiqat-ashna ko bazigar samjha tha main
Ghazal
KHak-dan ko hasil-e-zauq-e-nazar samjha tha main
Syed Meraj Jami