KHak aaina dikhati hai ki pahchan mein aa
aks-e-nayab mere dida-e-hairan mein aa
hai sharara hawas-amada-e-parwaz bahut
yam-e-zulmat bulata hai ki tufan mein aa
jagmagata hua KHanjar mere sine mein utar
raushni le ke kabhi KHana-e-viran mein aa
is tarah chhup ki koi DhunDh nikale tujh ko
aasmanon se utar kar had-e-imkan mein aa
baiTh ja apne kaTe sar ko liye hathon mein
thak gaya main bhi yahan ganj-e-shahidan mein aa
ramna KHali ram-e-ahu-e-maani se hua
chhup ke baiTha hi tha main 'zeb' niystan mein aa
Ghazal
KHak aaina dikhati hai ki pahchan mein aa
Zeb Ghauri