kha lete hain ghusse mein talwar kaTari kya
hum log hain saudai auqat hamari kya
bijli se lipaT kar hum bhasamant hue aaKHir
us ko tere daman ki samjhe the kanari kya
jun shama sar-e-shab se main rone ko baiTha hun
ta aaKHir-e-shab dekhun dikhlae ye zari kya
ghabrai jo phirti hai is taur saba har-su
aati hai gulistan ko us gul ki sawari kya
rona meri aankhon se jab tak ki na sikhega
ja baiTh tu rowega ai abar-e-bahaari kya
sote se to uThne do Tuk us ko sahar hote
dekhoge ki machlegi wo chashm-e-KHumari kya
nargis ki KHajil aankhen itni to na thin gahe
us chashm-e-mufattin se bazi koi haari kya
auqat mujarrad ki kis tarah basar howe
jangal hai ye bikti hai yan nan nahaari kya
ai 'mushafi' main us ko ji jaan se go chaha
aaKHir ko hua hasil juz-zillat-o-KHwari kya
Ghazal
Kha lete hain ghusse mein talwar kaTari kya
Mushafi Ghulam Hamdani