kha ke tegh-e-nigah-e-yar dil-e-zar gira
mardum-e-did pukare ki wo sardar gira
wae-ruswai-e-dil aam hui ishq ki bu
shisha-e-mushk baghal se sar-e-bazar gira
na uTha KHak-e-muzillat se kabhi misl-e-sarishk
jo nazar se tere ai shoKH-e-jafa-kar gira
qadam andaze se bahar na kabhi rakh ai dil
jo chala dauD ke aaKHir dam-e-raftar gira
na-tawani ne bataya hai namazi mujh ko
main kai bar uTha aur kai bar gira
ishwa o ghamza o andaz o ada hain qatil
kishwar-e-dil pe mere lashkar-e-jarrar gira
Ghazal
Kha ke tegh-e-nigah-e-yar dil-e-zar gira
Shuoor Balgirami