kha ke sukhi roTiyan pani ke sath
ji raha tha kitni aasani ke sath
yun bhi manzar ko naya karta hun main
dekhta hun us ko hairani ke sath
ghar mein ek taswir jangal ki bhi hai
rabta rahta hai virani ke sath
aankh ki tah mein koi sahra na ho
aa rahi hai ret bhi pani ke sath
zindagi ka masala kuchh aur hai
sher kah leta hun aasani ke sath
Ghazal
Kha ke sukhi roTiyan pani ke sath
Abbas Tabish