kaun ye raushni ko samjhae
sath dete nahin kabhi sae
raaz khul jae phir wo raaz kahan
baat hi kya jo lab pe aa jae
ghar hamesha hi be-charagh raha
dagh sine ke lau na de pae
chandni khal rahi hai un ki tarah
guzre lamhat kitne yaad aae
tere kuche mein subh-dam aksar
dekh kar phul hum ko sharmae
dhup mein mere sath chalte hain
un ki palkon ke dil-nashin sae
hum sukun ki talash mein aaKHir
tere kuche mein phir chale aae
rose jata hun mai-kade ki taraf
kash ye dil kabhi bahal jae
ab KHarabaat mein wo rind kahan
shab gae subh ki KHabar lae
bu-e-mai se mahak raha hai dimagh
bu-e-gul ki hawas nikal jae
mai-kada waqt hi pe khulta hai
'wajd' be-waqt kyun chale aae
Ghazal
Kaun ye raushni ko samjhae
Wajd Chughtai