kaun yan sath liye taj-o-sarir aaya hai
yan to jo aaya hai pahle so faqir aaya hai
ishq laya hai faqat ek hi sine ki sipar
husn bandhe hue sau tarkash-o-tir aaya hai
kal kisi shaKHs ne us shoKH se ja kar ye kaha
aaj dar par tere ek aashiq-e-pir aaya hai
pusht KHam-karda asa hath mein gardan hilti
zoaf-e-piri se nihayat hi haqir aaya hai
sun ke ye shakl-o-shabahat teri us shoKH ne aah
wahin malum kya ye ki 'nazir' aaya hai
Ghazal
Kaun yan sath liye taj-o-sarir aaya hai
Nazeer Akbarabadi