kaun yan bazar-e-KHubi mein tera ham-sang hai
husn ke mizan mein tere mahr-o-mah pasang hai
main wo hun diwana-e-sarKHil-e-arbab-e-junun
hath mein patthar liye har tifl mere sang hai
ja-e-takiya aashiq-e-be-KHanuman ko waqt-e-KHwab
zer-e-sar kuche mein tere KHisht hai pasang hai
is jawahar-posh ke dekhe hain wo yaqut-e-lab
jis ki rangini ke aage lal bhi ek sang hai
surmai aankhon ka tere jo koi bimar ho
ek mil us ke tain rakhna qadam farsang hai
jal gaya tanha na koh-e-tur hi parwana-war
aag tere ishq ki sham-e-dil-e-har-sang hai
saKHt-jaani meri aur zalim tere sangin-dili
aah misl-e-asiya ye sang upar sang hai
bap ka hai faKHr wo beTa ki rakhta ho kamal
dekh aaine ko farzand-e-rashid-e-sang hai
sar mera tere qadam ke sath yun hai pesh-rau
Thokaron mein jis tarah se rah-guzar ka sang hai
e'tiqad-e-momin-o-kafir hai rahbar warna phir
kuchh nahin dair-o-haram mein KHak hai pasang hai
ye sada ghar ghar kare hai aasiya phir phir mudam
musht-e-gandum ke liye chhani ke upar sang hai
shaiKH ki masjid se ai 'bedar' kya hai tujh ko kaam
sajda-gah apna sanam ke aastan ka sang hai
Ghazal
Kaun yan bazar-e-KHubi mein tera ham-sang hai
Meer Mohammadi Bedar