اردو हिंदी
Kaun tha wo KHwab ke malbus mein lipTa hua | Shaahi Shayari
kaun tha wo KHwab ke malbus mein lipTa hua

Ghazal

Kaun tha wo KHwab ke malbus mein lipTa hua

Adil Mansuri

;

kaun tha wo KHwab ke malbus mein lipTa hua
raat ke gumbad se Takra kar palaT aai sada

main to tha bikhra hua sahil ki pili ret par
aur dariya mein tha nila aasman Duba hua

soch ki sukhi hui shaKHon se murjhae hue
TuT kar girte hue lafzon ko main chunta raha

jab bhi KHud ki khoj mein nikla hun apne jism se
kali tanhai ke jangal se guzarna hi paDa

phailta jata hai ThanDi chandni ke sath sath
shoala shoala lazzaton ki tishnagi ka daera