kaun sunta hai sirf zat ki baat
lab pe hai mere kaenat ki baat
kyun shikan paD gai hai abru par
main to kahta hun ek baat ki baat
shama roti hai tare Dubte hain
ab fasana banegi raat ki baat
subh-e-nau muskurane wali hai
kya kahen shab ke hadsat ki baat
muztarib ho rahe hain diwane
hai tumhaari nawazishat ki baat
bazm-e-'aKHtar' mein kyun KHamosh ho tum
hai ye beja takallufat ki baat
Ghazal
Kaun sunta hai sirf zat ki baat
Akhtar Ansari Akbarabadi