kaun si wo shama thi jis ka main parwana hua
aur phir lau bhi lagi aisi ki diwana hua
saqi-e-sar-mast se jab tak ki lene ko baDhun
hath se girte hi chakna-chur paimana hua
dil harim-e-naz se le kar to hum nikle magar
ho gaya aalam kuchh aisa sab se begana hua
KHair thi ulfat mein dil ne rang kuchh badla na tha
ab tamasha dekhiyega wo bhi diwana hua
hum ne jaane kya kaha logon ne kya samjha use
sarguzisht-e-dard-e-dil thi jis ka afsana hua
faiz saqi ne badal di surat-e-dil aur hi
pahle paimana tha paimana se mai-KHana hua
mere lab tak aate aate kyun chhalak jata hai 'shauq'
jam-e-rangin saghar-e-mul ya ki paimana hua
Ghazal
Kaun si wo shama thi jis ka main parwana hua
Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

