اردو हिंदी
Kaun se the wo tumhaare ahd jo TuTe na the | Shaahi Shayari
kaun se the wo tumhaare ahd jo TuTe na the

Ghazal

Kaun se the wo tumhaare ahd jo TuTe na the

Qamar Jalalvi

;

kaun se the wo tumhaare ahd jo TuTe na the
KHair in baaton mein kya rakkha hai tum jhuTe na the

baghban kuchh soch kar hum qaid se chhuTe na the
warna kuchh panw na the be-kar par TuTe na the

KHar jab ahl-e-junun ke panw mein TuTe na the
daman-e-sahra pe ye rangin gul-buTe na the

rah gai mahrum aazadi ke naghmon se bahaar
kya karen qaid-e-zaban-bandi se hum chhuTe na the

is jawani se to achchhi thi tumhaari kam-sini
bhul to jate the wadon ko magar jhuTe na the

us zamane se dua ki hai bahaaron ke liye
jab faqat zikr-e-chaman-bandi tha gul-buTe na the

kya ye sach hai ai mere sayyaad gulshan luT gaya
jab to mere samne do phul bhi TuTe na the

chhoD to dete the raste mein zara si baat par
rahbaron ne manzilon par qafile luTe na the

kis qadar aansu bahae tum ne sham-e-gham 'qamar'
itne tare to falak se bhi kabhi TuTe na the