kaun se shauq kis hawas ka nahin
dil meri jaan tere bas ka nahin
rah tum karwan ki lo ki mujhe
shauq kuchh naghma-e-jaras ka nahin
han mera wo moamla hai ki ab
kaam yaran-e-nukta-ras ka nahin
hum kahan se chale hain aur kahan
koi andaza pesh-o-pas ka nahin
ho gai us gale mein umr tamam
pas shoale ko KHar-o-KHas ka nahin
mujh ko KHud se juda na hone do
baat ye hai main apne bas ka nahin
kya laDai bhala ki hum mein se
koi bhi sainkaDon baras ka nahin
Ghazal
Kaun se shauq kis hawas ka nahin
Jaun Eliya