kaun samjhega mere baad ishaare us ke
TuT kar KHak mein milte hain sitare us ke
ab hamein aankh uTha kar nahin takta wo shaKHs
kitne mazbut marasim the hamare us ke
jo samundar mere atraf rawan hai sar-e-KHak
DhunDhta rahta hun din-raat kinare us ke
us ka nuqsan haqiqat mein mera apna hai
mere hisse hi mein aate hain KHasare us ke
kitni aasani se dekha tha use patthar mein
kitni mushkil se KHad-o-KHal sanware us ke
saut mein jitna KHala hai use pur kar de sada
is tasalsul se koi nam pukare us ke
KHatm ho sakti hai 'azhar' ye laDai apni
ab bhi kuchh log salamat hain hamare us ke
Ghazal
Kaun samjhega mere baad ishaare uske
Mahmood Azhar