kaun sa wo zaKHm-e-dil tha jo tar-o-taza na tha
zindagi mein itne gham the jin ka andaza na tha
hum nikal sakte bhi to kyun kar hisar-e-zat se
sirf diwaren hi diwaren thin darwaza na tha
us ki aankhon se numayan thi mohabbat ki chamak
us ke chehre par nai tahzib ka ghaza na tha
itni shiddat se kabhi aaya na tha us ka KHayal
zaKHm-e-dil pahle kabhi itna tar-o-taza na tha
us ki har ek soch mein hai ek musalsal intishaar
is tarah bikhra hua is dil ka shiraaza na tha
dur kar dega zamane se mujhe mera KHulus
mujh ko apni is salahiyat ka andaza na tha
'arsh' un ki jhil si aankhon ka us mein kya qusur
Dubne walon ko gahrai ka andaza na tha
Ghazal
Kaun sa wo zaKHm-e-dil tha jo tar-o-taza na tha
Arsh Sahbai

