اردو हिंदी
Kaun sa main jawaz dun surat-e-haal ke liye | Shaahi Shayari
kaun sa main jawaz dun surat-e-haal ke liye

Ghazal

Kaun sa main jawaz dun surat-e-haal ke liye

Tariq Qamar

;

kaun sa main jawaz dun surat-e-haal ke liye
dast-e-saKHi mein kuchh nahin dast-e-sawal ke liye

apni tabahiyon pe bhi khul ke na ro sake kabhi
waqt hi kab mila hamein ranj-o-malal ke liye

us se main is tarah mila jaise mujhe pata nahin
karta hai kaun sazishen mere zawal ke liye

tum bhi khinche khinche se the hum bhi bache bache rahe
donon hi zimmedar hain shishe mein baal ke liye

phulon ko har ghaDi rahi kanTon se KHun ki talab
thoDa surur ke liye thoDa, jamal ke liye

ab ke baras ki fasl bhi pichhle lagan mein gai
sud mein faqe rah gae ab ke bhi sal ke liye

kah do ye shahryar se dar-o-rasan saje rahen
zulm-o-sitam bhi shart hain jah-o-jalal ke liye