kaun-o-makan se dur zamin-o-zaman se dur
manzil meri hai jannat-o-KHuld-o-adan se dur
ta-umr jis ka jism raha pairahan se dur
nauhagar us ki lash bhi rakkhen kafan se dur
pal chhan nikal rahi hain gharibon ki arthiyan
is taur ho rahi hai gharibi watan se dur
aankhen baras rahi hain chaman ki hudud mein
baadal baras rahe hain hudud-e-chaman se dur
koi yahan to koi wahan sirf kar-e-KHwesh
gulchin darun-e-bagh shikari chaman se dur
jaanbaz hai to bhag ke dar-o-rasan ko chum
mansur hai to bhag na dar-o-rasan se dur
aab-e-hayat se bhi na hoga ilaj-e-gham
honge ye taza gham na sharab-e-kuhan se dur
Ghazal
Kaun-o-makan se dur zamin-o-zaman se dur
Pundit Amar Nath Hoshiyarpuri