kaun karta hai sar-e-zulf ki baaten dil mein
ji pe kaTti hain ajab tarah ki raaten dil mein
koi tarkib mulaqat ki banti nahin aur
wasl ke roz kiya karte hain ghaten dil mein
go hamein tu ne ye zahir mein nawaza par hum
dhyan mein apne teri khate hain laten dil mein
turfa shatranj-e-mohabbat ki hai ghaeb bazi
shatir-e-ishq ko ho rahti hain maten dil mein
kaun si aan-o-ada hai ki nahin ji ko lage
khub rahi hain wo teri sab harakaten dil mein
zat gar pochhiye aadam ki to hai ek wahi
lakh yun kahne ko Thahraiye zaten dil mein
wasl ka sad bhi hoega 'hasan' sabr karo
daftar-e-ishq ki dauDen hain baraaten dil mein
Ghazal
Kaun karta hai sar-e-zulf ki baaten dil mein
Meer Hasan