kaun kahta mujhe shaista-e-tahzib-e-junun
main teri zulf-e-pareshan ko agar chheD na dun
kaun hasrat-zada-e-shauq-e-takallum hai yahan
laDkhaData hai teri chashm-e-suKHan-go ka fusun
ye hujum-e-gham-e-dauran mein kahan yaad raha
dastan-e-gham-e-dil tere taghaful se kahun
kya KHabar KHema-e-laila ke nigahbanon ko
ki harim-e-dil-e-laila mein hai mehman-e-junun
rang rah rah ke tere ruKH ka uDa jata hai
warna main aur teri mahfil-e-tamkin se uThun
qaid-e-hasti mein ye ek gosha-e-daman-e-KHayal
phir ghanimat hai ki zindan mein bhi aazad to hun
ho saliqe se bahakna to maza deta hai
mere saqi ko guman hai ki bahut hosh mein hun
justuju ki koi manzil jo nahin hai to na ho
himmat-e-ishq ye kahti hai ki baDhta hi rahun
ab tere haal pe tujh ko dil-e-nadan chhoDa
sochna bhi to qayamat hai kahan tak sochun
main ne pahchan liya us ko sar-e-bazm 'rawish'
us ki aankhon ko hai israr ki KHamosh rahun
Ghazal
Kaun kahta mujhe shaista-e-tahzib-e-junun
Ravish Siddiqi