kaun kahta hai tum ada na karo
par wafa ki jagah jafa na karo
sarw kaT jaenge pisegi hina
is tarah bagh mein phira na karo
hans rahe hain abhi KHushi mein wo
mere rone ka tazkira na karo
zaKHm-e-dil par na ho namak-pashi
is maze se to aashna na karo
hai qayamat tumhaari aTkheli
hashr ai jaan-e-man bapa na karo
KHirman-e-dil pe barq girti hai
mere rone pe tum hinsa na karo
neamat-e-ishq hai ye dagh-e-jigar
shukr-e-haq ke siwa gila na karo
hai shab-e-wasl be-takalluf ho
shoKHiyan kahti hain haya na karo
hun giraftar-e-ulfat-e-gesu
mujh ko bahr-e-KHuda riha na karo
shauq kahta hai KHud chale jao
minnat-e-nama-bar kiya na karo
dil lagana bura hai ai 'ajiz'
chup raho us ka tazkira na karo
Ghazal
Kaun kahta hai tum ada na karo
Peer Sher Mohammad Ajiz