اردو हिंदी
Kaun kahta hai tere dil mein utar jaunga | Shaahi Shayari
kaun kahta hai tere dil mein utar jaunga

Ghazal

Kaun kahta hai tere dil mein utar jaunga

Rasheed Qaisrani

;

kaun kahta hai tere dil mein utar jaunga
main to lamha hun tujhe chhu ke guzar jaunga

shab ke chehre mein koi rang to bhar jaunga
chal paDa hun to main ab ta-ba-sahar jaunga

aasmanon ki safen kaT ke pahuncha tha yahan
ab teri aankh se TuTa to kidhar jaunga

apni nazron ka koi daera ban ke mere gird
warna in tez hawaon mein bikhar jaunga