kaun kahta hai musibat par kabhi matam na kar
maut hai ek pal ki sari zindagi matam na kar
gham na kar un ke darichon par charaghan ho gaya
chalti phirti hai sada se raushni matam na kar
karbala se le ke registan-e-sinai talak
miT nahin sakti hamari tishnagi matam na kar
phir se momin aatish-e-namrud mein Dale gae
hai yahi sunnat KHalilullah ki matam na kar
kufr hai ek millat-e-wahid ye raushan ho gaya
mustaqil hai rishta-e-iman bhi matam na kar
kisht-e-muslim ko hamesha KHun se sincha gaya
ek din hogi yahi kheti hari matam na kar
ye bhi kya kam hai basirat ki nazar hasil hui
doston ne ki jo tujh se dushmani matam na kar
'sayyadi' tariKH mein ek do baras kuchh bhi nahin
kashmakash hai iztirab-e-daimi matam na kar
Ghazal
Kaun kahta hai musibat par kabhi matam na kar
Muzaffar Ali Syed