kaun kahta hai ki nafrat ko sada di jae
aao bas dil mein wafa aur baDha di jae
ham-safar lutf-e-safar aur do-baala hoga
chhanw mein dhup agar thoDi mila di jae
ab to wahshat meri chahat ki yahi kahti hai
main gunahgar hun to mujh ko saza di jae
abr KHushiyon ke bhi barsenge yaqin hai mujh ko
gham ki chadar to mere sar se haTa di jae
main ne asrar aziyyat mein hi khulte dekhe
baat chhoTi hai magar sab ko bata di jae
umr phir us ki asiri mein guzarun 'jyoti'
phir se mujh ko wahi aazad faza di jae
Ghazal
Kaun kahta hai ki nafrat ko sada di jae
Jyoti Azad Khatri