kaun kahta hai ki wahshat mere kaam aai hai
ye koi aur aziyyat mere kaam aai hai
yunhi main tairta phirta nahin sahraon mein
ek dariya ki nasihat mere kaam aai hai
log diwana samajhte hi nahin the mujh ko
meri bigDi hui haalat mere kaam aai hai
warna jannat se kahan mujh ko nikala jata
jo nahin ki wo ibaadat mere kaam aai hai
aaKHir-e-kar tera hijr mayassar aaya
ab kahin ja ke mohabbat mere kaam aai hai
Ghazal
Kaun kahta hai ki wahshat mere kaam aai hai
Abid Malik