اردو हिंदी
Kaun kahta hai ki maut aai to mar jaunga | Shaahi Shayari
kaun kahta hai ki maut aai to mar jaunga

Ghazal

Kaun kahta hai ki maut aai to mar jaunga

Ahmad Nadeem Qasmi

;

kaun kahta hai ki maut aai to mar jaunga
main to dariya hun samundar mein utar jaunga

tera dar chhoD ke main aur kidhar jaunga
ghar mein ghir jaunga sahra mein bikhar jaunga

tere pahlu se jo uTThunga to mushkil ye hai
sirf ek shaKHs ko paunga jidhar jaunga

ab tere shahr mein aaunga musafir ki tarah
saya-e-abr ki manind guzar jaunga

tera paiman-e-wafa rah ki diwar bana
warna socha tha ki jab chahunga mar jaunga

chaarasazon se alag hai mera mear ki main
zaKHm khaunga to kuchh aur sanwar jaunga

ab to KHurshid ko guzre hue sadiyan guzrin
ab use DhunDne main ta-ba-sahar jaunga

zindagi shama ki manind jalata hun 'nadim'
bujh to jaunga magar subh to kar jaunga