kaun kahta hai ki marna mera achchha na hua
fikr darman na hui ranj mudawa na hua
wah is nale pe aur itni adu ko nazish
bazm mein aur to kya hashr bhi barpa na hua
sair-e-gulshan se rahe shad wa-lekin afsos
ab ke malum kuchh ahwal qafas ka na hua
so gae sunte hi sunte wo dil-e-zar ka haal
jab ko hum samjhe the afsun wahi afsana hua
rabt kuchh dagh-o-jigar ka to hai chaspan 'ashiq'
warna is daur mein koi bhi kisi ka na hua
Ghazal
Kaun kahta hai ki marna mera achchha na hua
Ashique Akbarabadi

