اردو हिंदी
Kaun kahta hai ki mar jaane se kuchh hasil nahin | Shaahi Shayari
kaun kahta hai ki mar jaane se kuchh hasil nahin

Ghazal

Kaun kahta hai ki mar jaane se kuchh hasil nahin

Mela Ram Wafa

;

kaun kahta hai ki mar jaane se kuchh hasil nahin
zindagi us ki hai mar jaana jise mushkil nahin

han ye sara khel parwanon ki jaan-bazi ka hai
sham-e-raushan par madar-e-girya-e-mahfil nahin

aam hi karna paDega un ko faiz-e-iltifat
ghair hargiz iltifat-e-KHas ke qabil nahin

muntaKHab main hi hua mashq-e-taghaful ke liye
wo taghaful-kesh meri yaad se ghafil nahin

halqa-e-girdab hai gahwara-e-ishrat mujhe
zauq-e-asaish mera minnat-kash-e-sahil nahin

dekhiye kya ho hamare shauq-e-manzil ka maal
panw mein taqat ba-qadr-e-duri-e-manzil nahin

lakh dil qurban us chashm-e-nadamat-kesh par
yani mujh ko aarzu-e-KHun-baha-e-dil nahin

marja-e-barq-e-bala hai ai 'wafa' duniya-e-ishq
hasil-e-hasrat yahan juz hasrat-e-hasil nahin