kaun kahta hai ki dariya mein rawani kam hai
main jahan Dub raha hun wahan pani kam hai
bhul kar bhi koi sunta nahin rudad meri
waqia is mein ziyaada hai kahani kam hai
ai KHuda phir mere jazbon ko farawani de
zindagi-bhar ke liye ek jawani kam hai
mere lahje se mere dard ka andaza kar
meri baaton mein agar talKH-bayani kam hai
ye mohabbat hai ki ehsas hai mahrumi ka
meri aankhon mein bahut kuchh hai zabani kam hai
Ghazal
Kaun kahta hai ki dariya mein rawani kam hai
Shahzad Ahmad