kaun kahta hai ki benam-o-nishan ho jaunga
Dub kar main qatre qatre se ayan ho jaunga
dekhna chheDunga maqtal mein bhi saz-e-sarmadi
ishq par jab zulm hoga naghma-KHwan ho jaunga
moti ban kar sipiyon mein aap raushan hain agar
main bhi gili ret par gauhar-e-fishan ho jaunga
sari duniya se juda hai meri fitrat ka mizaj
jis qadar simTunga utna be-karan ho jaunga
mere hote zindagi be-rang ho sakti nahin
nabz-e-alam mein lahu ban kar rawan ho jaunga
jab muarriKH meri hasti par uThaega qalam
intiha ye hai ki teri dastan ho jaunga
hasraton ki manzilen roengi mere haal par
aise aawara musafir ka nishan ho jaunga
ye bahut dushwar hai lekin tumhaare waste
main tumhaare aur apne darmiyan ho jaunga
chahchahaunga bahaaron mein parindon ki tarah
pattharon ki wadiyon mein be-zaban ho jaunga
gulistan fani sahi tum ho magar KHushbu ka KHwab
main tumhaara git ban kar jawedan ho jaunga
jab samundar mere sine mein sama jaega 'prem'
har bhanwar ki aabru ka imtihan ho jaunga
Ghazal
Kaun kahta hai ki benam-o-nishan ho jaunga
Prem Warbartani