اردو हिंदी
Kaun kahta hai gum hua partaw | Shaahi Shayari
kaun kahta hai gum hua partaw

Ghazal

Kaun kahta hai gum hua partaw

Zaki Tariq

;

kaun kahta hai gum hua partaw
lahza lahza hai aaina partaw

har taraf chha gaya hai ek jalwa
jaane kis ka ye paD gaya partaw

naqsh palkon pe jab hua raushan
apni aankhon mein bhar liya partaw

mere andar nihan hai aks mera
aaine mein hai aap ka partaw

Dar raha hai 'zaki' andheron se
kho na jae kahin tera partaw