kaun kahan tak ja sakta hai
ye to waqt bata sakta hai
ishq mein wahshat ka ek shola
ghar ko aag laga sakta hai
jazbon ki shiddat ka suraj
zanjiren pighla sakta hai
teri aamad ka ek jhonka
ujDa shahr basa sakta hai
aaine mein jurat ho to
aks bhi surat pa sakta hai
aankhon mein Thahra ek manzar
rah mein gard uDa sakta hai
tujh ko paiham sochne wala
KHwab ko hath laga sakta hai
Ghazal
Kaun kahan tak ja sakta hai
Rehana Roohi