اردو हिंदी
Kaun jaane kitni baqi kis ke paimane mein hai | Shaahi Shayari
kaun jaane kitni baqi kis ke paimane mein hai

Ghazal

Kaun jaane kitni baqi kis ke paimane mein hai

Mohan Javidani

;

kaun jaane kitni baqi kis ke paimane mein hai
jitna jis ka zarf hai utni hi mai-KHane mein hai

ye tera ehsan hai jo tu ne apna gham diya
gham mein Dhal jaane ki aadat tere diwane mein hai

kya meri ruswaiyon mein teri ruswai nahin
nam tera bhi to shamil mere afsane mein hai

aansuon mein jagmagati hain teri parchhaiyan
kya charaghan ka ye manzar dal ke virane mein hai

kah rahi hai mujh se 'mohan' chashm-e-saqi bar bar
mai-kashi ka lutf pi kar hi sambhal jaane mein hai