kaun hai nek kaun bad hai yahan
kis ke hathon mein ye sanad hai yahan
khulte jate hain kaenat ke bhed
jo azal hai wahi abad hai yahan
jo nazar aae wo haqiqat hai
jo kaha jae mustanad hai yahan
kitni muddat se dekhta hun main
ek tamasha-e-KHal-o-KHad hai yahan
jo kisi taur jal nahin pae
un charaghon ki koi had hai yahan
apni pahchan ke liye 'zulfi'
kya shumar aur kya adad hai yahan
Ghazal
Kaun hai nek kaun bad hai yahan
Tasleem Ilahi Zulfi