kaun hai kis ka ye paigham hai kya arz karun
zindagi nama-e-gumnam hai kya arz karun
de ke wo dawat-e-nazzara jahan phir na mila
ye wahi jalwa-gah-e-am hai kya arz karun
zindagi us ne badal kar meri rakh di aisi
na mujhe chain na aaram hai kya arz karun
hasrat-o-yas ka maskan hai mera KHana-e-dil
suna suna ye dar-o-baam hai kya arz karun
aage pichhe hai mere ek masaib ka hujum
aaj nakaami bahar-gam hai kya arz karun
meri qismat mein likhi tishna-labi hai shayad
us ke hathon mein bhara jam hai kya arz karun
jab se wo KHana-bar-andaz hai sargarm-e-amal
jis taraf dekhiye kohram hai kya arz karun
subh-e-ummid kab aaegi na jaane 'barqi'
muztarib dil ye sar-e-sham hai kya arz karun
Ghazal
Kaun hai kis ka ye paigham hai kya arz karun
Ahmad Ali Barqi Azmi