اردو हिंदी
Kaun hai dard-ashna sang-dili ka daur hai | Shaahi Shayari
kaun hai dard-ashna sang-dili ka daur hai

Ghazal

Kaun hai dard-ashna sang-dili ka daur hai

Shamim Karhani

;

kaun hai dard-ashna sang-dili ka daur hai
dil ka diya bachaiye aaj hawa kuchh aur hai

sare jahan ki sham-e-gham subh-e-bahaar ban gai
meri sahar ka masala aaj bhi zer-e-ghaur hai

nashsha-e-dard kho gaya saqi-e-dard so gaya
mahfil-e-dil mein jaen kya tishna-labi ka daur hai

KHun-e-jigar se umr bhar qarz-e-hayat ada kiya
phir bhi yahi suna kiye roz-e-hisab aur hai

dair o haram ke darmiyan DhunDiye kyun 'shamim' ko
abr o shafaq ko dekhiye mera KHayal aur hai