اردو हिंदी
Kaun guzra tha mehrab-e-jaan se abhi KHamushi shor bharta hua | Shaahi Shayari
kaun guzra tha mehrab-e-jaan se abhi KHamushi shor bharta hua

Ghazal

Kaun guzra tha mehrab-e-jaan se abhi KHamushi shor bharta hua

Atiiqullah

;

kaun guzra tha mehrab-e-jaan se abhi KHamushi shor bharta hua
dhund mein koi shai jun damakti hui ek badan sa badan se ubharta hua

sarf karti hui jaise saat koi lamha koi faramosh karta hua
phir na jaane kahan TuT kar ja gira ek saya saron se guzarta hua

ek umr-e-gurezan ki mohlat bahut phailta hi gaya main ufuq-ta-ufuq
mere baatin ko chhuti hui wo nigah aur main chaaron taraf panw dharta hua

ye jo uDti hui saat-e-KHwab hai kitni mahsus hai kitni nayab hai
phul palkon se chunti hui raushni aur main KHushbuen tahrir karta hua

mere bas mein the sare zaman-o-makan lek main dekhta rah gaya in o aan
chal diya le ke chuTki mein koi zamin aasman aasman gard karta hua

apni maujudgi se tha main be-KHabar dekhta kya hun aise mein yak-dam idhar
qata karti hui shab ke pahlu mein ek aadmi TuTta aur bikharta hua