اردو हिंदी
Kaun guman yaqin bana kaun sa ghaw bhar gaya | Shaahi Shayari
kaun guman yaqin bana kaun sa ghaw bhar gaya

Ghazal

Kaun guman yaqin bana kaun sa ghaw bhar gaya

Pirzada Qasim

;

kaun guman yaqin bana kaun sa ghaw bhar gaya
jaise sabhi guzar gae 'jaun' bhi kal guzar gaya

us ka charagh-e-wasl to hijr se rabte mein tha
wo bhi na jal saka udhar ye bhi idhar bikhar gaya

zist ki raunaqen tamam us ki talash mein rahin
aur wo gham-nazhad 'jaun' kis ko KHabar kidhar gaya

gam-ba-gam ek bahisht aur wo us ki ek hasht
rah mein bhi ruka nahin aur na apne ghar gaya

rasm-e-supurdagi ko kab darKHur-e'tina kaha
KHud se jo tha gurez-pa sab se gurez kar gaya

us ke suKHan ka moajiza us ki nahin mein dekhiye
han bhi hai majra magar 'jaun' kahan udhar gaya

us ko tha saKHt iKHtilaf zist ke matn se so wo
bar-sar-e-hashiya raha aur kamal kar gaya

us ke KHayal ki numud ahd-ba-ahd jawedan
bas ye kaho ki 'jaun' hai ye na kaho ki mar gaya