اردو हिंदी
Kaun deta raha sahra mein sada meri tarah | Shaahi Shayari
kaun deta raha sahra mein sada meri tarah

Ghazal

Kaun deta raha sahra mein sada meri tarah

Shaz Tamkanat

;

kaun deta raha sahra mein sada meri tarah
aaj tanha hun magar koi to tha meri tarah

main teri rah mein pamal hua jata hun
miT na jae tera naqsh-e-kaf-e-pa meri tarah

main hi tanha hun faqat teri bhari duniya mein
aur bhi log hain kya mere KHuda meri tarah

rang-e-arbab-e-raza-e-pesha mubarak ho tujhe
koi hota hi nahin tujh se KHafa meri tarah

kis ko hasil ho teri chashm-e-siyah ke aage
mansab-e-silsila-e-jurm-o-KHata meri tarah

aashna kaun hai naqsh-e-qadam-e-nikhat ka
yaad kis ko hai tere ghar ka pata meri tarah

'shaz' tara nahin TuTa koi dil TuTa hai
rah takta tha shab-e-gham koi kya meri tarah