kaun darwaza khula rakhta barae intizar
raat gahri ho chali rahraw abas hai kal pukar
aankh jal jati hai lekin KHwab jhulsati nahin
surmai Dheri ki KHunki se janam legi bahaar
kaun dasht-e-karb ke aazar ka aadi hua
kaun ja paya hai bahr-e-dard ki maujon ke par
ranj mein lipTa raha mahtab ka ghamgin badan
raat Tairis par koi sajde main roya zar-zar
ab kisi shikwe-gile ki koi gunjaish nahin
aap apne hath se saunpa tha us ko iKHtiyar
kaifiyat ki puchh mat hamdam ki lutf-e-qurb se
aaj kuchh baDh kar hai apne andarun bahta KHumar
shahzadi rauzan-e-zindan se rah takti rahi
shahr ki raKHshandagi mein kho gaya ek shahsawar
ek nazar ka moajiza mere qalam ka sab hunar
ek sunahri dhyan se barsi hai nazmon ki phuwar

Ghazal
Kaun darwaza khula rakhta barae intizar
seemab zafar