اردو हिंदी
Kaun batae kya hai haqiqat aur bana afsana kya | Shaahi Shayari
kaun batae kya hai haqiqat aur bana afsana kya

Ghazal

Kaun batae kya hai haqiqat aur bana afsana kya

Khaleeq Siddiqui

;

kaun batae kya hai haqiqat aur bana afsana kya
dil ki basti kya basti hai basna kya luT jaana kya

barson ne jo rishte joDe pal bhar ne wo toD diye
pyare! ab TuTe TukDon se apna ji bahlana kya

aaj to jun-tun kaT jaega kal ki socho kya hoga
jo guzri so guzar chuki itrana kya pachhtana kya

kaisa tufan kaisi balaen yaro! ye bhi socho to
sikha hai mar mar ke jina jite-ji mar jaana kya

jaane kitne Dubne wale sahil par bhi Dub gae
pyare! tufanon mein rah kar itna bhi ghabrana kya

tanha tanha ji ke dekha sath bhi ji ke dekh liya
hum ne kya samjha hai jina auron ko samjhana kya

sud-o-ziyan ki baaten chhoDo aur hi baaten chheDo bhi
ishq ke hathon kya khoya hai kya paya dohrana kya

apni ram-kahani mein bhi jag-biti ka jadu tha
palken jhapki jati hain ab KHatm hua afsana kya