اردو हिंदी
Kaun aaya raste aaina-KHane ho gae | Shaahi Shayari
kaun aaya raste aaina-KHane ho gae

Ghazal

Kaun aaya raste aaina-KHane ho gae

Bashir Badr

;

kaun aaya raste aaina-KHane ho gae
raat raushan ho gai din bhi suhane ho gae

kyun haweli ke ujaDne ka mujhe afsos ho
saikDon be-ghar parindon ke Thikane ho gae

jao un kamron ke aaine uTha kar phenk do
be-adab ye kah rahe hain hum purane ho gae

ye bhi mumkin hai ki main ne us ko pahchana na ho
ab use dekhe hue kitne zamane ho gae

palkon par ye aansu pyar ki tauhin the
aankhon se gire moti ke dane ho gae