kaun aaya gesuon ko pareshan kiye hue
bardadi-e-nigah ka saman kiye hue
phir chahta hun KHanjar-e-qatil se irtibaat
dushwari-e-hayat ko aasan kiye hue
phir sahil-e-murad ki hai dil ko aarzu
kashti ko nazr-e-shorish-e-tufan kiye hue
phir hun tere taghaful-e-zahir ka shikwa-sanj
jaan ko fida-e-pursish-e-pinhan kiye hue
phir hain harim-e-naz se jalwon ki barishen
hairani-e-nigah ka saman kiye hue
'maikash' nahin mujhe mai-o-mai-KHana ki talash
baiTha hun chashm-e-yar se paiman kiye hue
Ghazal
Kaun aaya gesuon ko pareshan kiye hue
Maikash Badayuni