kaun aashna hai kis pe nazar jae shahr mein
aaKHir gharib-e-shahr kidhar jae shahr mein
shishon se haar kar talab-e-sang mein koi
simTe to reza reza bikhar jae shahr mein
itna bhi tang arsa-e-jaan shahr par na kar
roz ek qabila jaan se guzar jae shahr mein
ab tak qadam hi dhup mein Thahre hain is taraf
tu chhanw de to dil bhi Thahar jae shahr mein
sahra ki aag pakke gharon tak to aa gai
ab ye bhaDakti aag jidhar jae shahr mein
itna na sochta chale bazar mein koi
ghar us ka muntazir ho wo mar jae shahr mein
Ghazal
Kaun aashna hai kis pe nazar jae shahr mein
Mahshar Badayuni