اردو हिंदी
Kaun aajiz sila-e-tishna-e-dahani mange | Shaahi Shayari
kaun aajiz sila-e-tishna-e-dahani mange

Ghazal

Kaun aajiz sila-e-tishna-e-dahani mange

Kaleem Aajiz

;

kaun 'ajiz' sila-e-tishna-e-dahani mange
ye jahan aag use deta hai jo pani mange

dil bhi gardan bhi hatheli pe liye phirta hun
jaane kab kis ka lahu teri jawani mange

toDiye maslahat-e-waqt ki diwaron ko
rah jis waqt tabiat ki rawani mange

mangna jurm hai fankar se tartib-e-KHayal
gesu-e-waqt jab aashufta-bayani mange

saqi tu chahe to wo daur bhi aa sakta hai
ki mile jam-e-sharab us ko jo pani mange

kis ka sina hai jo zaKHmon se nahin hai mamur
kya koi tujh se mohabbat ki nishani mange

dil to de hi chuka ab hai ye irada apna
jaan bhi de dun jo wo dushman-e-jaani mange

hain mere shisha-e-sahba-e-suKHan mein donon
nai mange koi mujh se ki purani mange