اردو हिंदी
Katra ke gulsitan se jo su-e-qafas chale | Shaahi Shayari
katra ke gulsitan se jo su-e-qafas chale

Ghazal

Katra ke gulsitan se jo su-e-qafas chale

Waheed Akhtar

;

katra ke gulsitan se jo su-e-qafas chale
aisi koi hawa bhi to ab ke baras chale

aadab-e-qafila bhi hain zanjir-e-pa-e-shauq
ye kya safar asir-e-sada-e-jaras chale

mana hawa-e-gul se the be-iKHtiyar hum
phir bhi bacha ke rah ka har KHar-o-KHas chale

pamal ho ke rah gae jashn-e-bahaar mein
ye fikr thi chaman pe KHizan ka na bas chale

ai chashma-e-hayat na di tu ne bund bhi
hum tishna-kaam abr ki surat baras chale

subhen bhi aa ke zahr rag-e-jaan mein bhar na den
hijran-e-yar tere andhere to Das chale

un ki ye zid wo dekhen gada-e-rafu hamein
hum ko ye fikr un ke gareban pe bas chale

tha pas-e-abru-e-tamanna hamein 'wahid'
chun kar gul-e-murad sab ahl-e-hawas chale