kaTi hai umr yahan ek ghar banane mein
haya na aai tumhein bastiyan jalane mein
bana diya tha jahan ko KHuda ne kun kah kar
karoDon sal lage hain ise basane mein
fareb de ke tumhein kya sukun milta hai
hamein to lutf mila hai fareb khane mein
ata ho daulat-e-iman hamein bhi be-payan
kami nahin hai KHudaya tere KHazane mein
hawa ke madd-e-muqabil charagh rakh dena
mizaj-e-ishq raha hai ye har zamane mein
'atiq' ye hi dua hai ki rahti duniya tak
charag-e-ilm ho raushan gharib-KHane mein
Ghazal
KaTi hai umr yahan ek ghar banane mein
Ateeq Muzaffarpuri