kaThin tanhaiyon se kaun khela main akela 
bhara ab bhi mere ganw ka mela main akela 
bichhaD kar tujh se main shab bhar na soya kaun roya 
ba-juz mere ye dukh bhi kis ne jhela main akela 
ye be-awaz banjar ban ke basi ye udasi 
ye dahshat ka safar jangal ye bela main akela 
main dekhun kab talak manzar suhane sab purane 
wahi duniya wahi dil ka jhamela main akela 
wo jis ke KHauf se sahra sidhaare log sare 
guzarne ko hai tufan ka wo rela main akela
        Ghazal
KaThin tanhaiyon se kaun khela main akela
Mohsin Naqvi

