اردو हिंदी
KaTa na koh-e-alam humse kohkan ki tarah | Shaahi Shayari
kaTa na koh-e-alam humse kohkan ki tarah

Ghazal

KaTa na koh-e-alam humse kohkan ki tarah

Athar Nadir

;

kaTa na koh-e-alam hum se kohkan ki tarah
badal saka na zamana tere chalan ki tarah

hazar bar kiya KHun-e-arzu hum ne
jabin-e-dahr pe phir bhi rahe shikan ki tarah

sawad-e-shab ki ye tanhaiyan bhi Dasti hain
ye chandni bhi nazar aati hai kafan ki tarah

tamam shahar hai begana log na-manus
watan mein apne hain hum ek be-watan ki tarah

KHayal-e-dost na hasrat na aarzu na ummid
ye dil hai ab kisi ujDe hue chaman ki tarah

sukun-e-qalb to kiya hai qarar-e-jaan bhi luTa
tumhaari yaad bhi aai to rahzan ki tarah

ajab nahin ki sar-e-shahr-e-arzu 'nadir'
hamara dil bhi jale sham-e-anjuman ki tarah